Bahar Damakti Barf Mein Andar Mahakti Raat Mein
bahar damakti barf mein andar mahakti raat mein
us ke badan ka phul hai jaise hawa ke hat mein
khiDki se chhante chand mein nazdik aatish-dan ke
zulfon ka saya oDh ke baiThi hain aankhen ghat mein
us ke labon se TuT kar simab-e-mai girne laga
gile gulabon se uDe jugnu andheri raat mein
ek nim raushan kunj ki jadugari simTi hui
shanon ke simin harf mein aankhon ki nili baat mein
uDta hua ek lafz sa honTon ne aankhon se kaha
tahrir mein aane laga bikhra hua jazbaat mein
(744) Peoples Rate This