Sadiyon Se Zamane Ka Ye Andaz Raha Hai
sadiyon se zamane ka ye andaz raha hai
saya bhi juda ho gaya jab waqt paDa hai
bhule se kisi aur ka rasta nahin chhute
apni to har ek shaKHs se raftar juda hai
us rind-e-bala-nosh ko sine se laga lo
mai-KHane ka zahid se pata puchh raha hai
manjdhaar se Takrae hain himmat nahin haare
TuTi hui patwar pe ye zoam raha hai
ghar apna kisi aur ki nazron se na dekho
har tarah se ujDa hai magar phir bhi saja hai
mai-kash kisi tafriq ke qael hi nahin hain
waiz ke liye bhi dar-e-mai-KHana khula hai
ye daur bhi kya daur hai is daur mein yaro
sach bolne walon ka hi anjam bura hai
(790) Peoples Rate This