Agar Ye Zid Hai Ki Mujhse Dua Salam Na Ho
agar ye zid hai ki mujh se dua salam na ho
to aisi rah se guzro jo rah-e-am na ho
suna to hai ki mohabbat pe log marte hain
KHuda kare ki mohabbat tumhaara nam na ho
bahaar-e-ariz-e-gulgun tujhe KHuda ki qasam
wo subh mere liye bhi ki jis ki sham na ho
mere sukut ko nafrat se dekhne wale
yahi sukut kahin bais-e-kalam na ho
ilahi KHair ki un ka salam aaya hai
yahi salam kahin aaKHiri salam na ho
mujhe to ras na aai hayat-e-nau lekin
KHata-muaf tumhaara bhi ye maqam na ho
'jamil' un se taaruf to ho gaya lekin
ab un ke baad kisi se dua salam na ho
(1112) Peoples Rate This