Hausle Apne Rahnuma To Hue

hausle apne rahnuma to hue

hadse gham ka aasra to hue

be-wafa hi sahi zamane mein

hum kisi fan ki intiha to hue

wadi-e-gham ke hum khanDar hi sahi

aane walon ka rasta to hue

kuchh to maujen uThi samundar se

be-sabab hi sahi KHafa to hue

un ko apna hi gham sahi lekin

wo kisi gham mein mubtila to hue

KHud ko begana kar ke duniya se

chand chehron se aashna to hue

KHanda-e-gul hue ki shola-e-jaan

haal pe mere lab-kusha to hue

pattharon ke nagar mein ja ke 'nazar'

kam se kam sang-ashna to hue

(747) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hausle Apne Rahnuma To Hue In English By Famous Poet Jamil Nazar. Hausle Apne Rahnuma To Hue is written by Jamil Nazar. Read famous Poem Hausle Apne Rahnuma To Hue for youth and Student by Jamil Nazar. Free Download Hausle Apne Rahnuma To Hue in PDF.