Apne Bare Mein Jab Bhi Socha Hai

apne bare mein jab bhi socha hai

us ka chehra nazar mein ubhra hai

tajrabon ne yahi bataya hai

aadmi shohraton ka bhuka hai

dekhiye to hai karwan warna

har musafir safar mein tanha hai

us ke bare mein sochne walo

dekh lo ab ye haal apna hai

kaun bandish lagae KHushbu ki

ishq fitrat ka ek taqaza hai

yaad aai hai jaane kis kis ki

lab pe jab zikr us ka aaya hai

fikr ki talKHiyon mein gum ho kar

aadmi be-sabab bhi hansta hai

aarzumand koi ho to kahun

mere dil mein bhi ek tamanna hai

mere chehre pe jo likha hai 'nazar'

ghaur se kis ne us ki samjha hai

(925) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apne Bare Mein Jab Bhi Socha Hai In English By Famous Poet Jamil Nazar. Apne Bare Mein Jab Bhi Socha Hai is written by Jamil Nazar. Read famous Poem Apne Bare Mein Jab Bhi Socha Hai for youth and Student by Jamil Nazar. Free Download Apne Bare Mein Jab Bhi Socha Hai in PDF.