Uski Chashm-e-karam Thi Hayat-afrin KHushk Patton Pe Jaise Nikhaar Aa Gaya
us ki chashm-e-karam thi hayat-afrin KHushk patton pe jaise nikhaar aa gaya
aarzu ke shagufe mahakne lage dil ki be-chainiyon ko qarar aa gaya
dasht-e-ghurbat mein bhi zanu-e-dost par meri tanhai ko ye tassur hua
bhula-bhaTka hua ek musafir koi yak-ba-yak jaise apne dayar aa gaya
umr-bhar fikr-e-duniya mein ghaltan rahe mare mare phire muft ruswa hue
zindagi dafatan zindagi ban gai chaar aankhen huin dil mein pyar aa gaya
bankpan un ka mashhur tha meri diwangi par hamesha hanse
lekin aankhon se aansu chhalakne lage samne jab hamara mazar aa gaya
jaanta hun kudurat buri chiz hai aap se dushmani ki tawaqqo na thi
dur hona bahut is ka dushwar hai dil ke aaine mein jab ghubar aa gaya
zaKHm bharne lage dard tham sa gaya ek sahaara mila dil ko Dhaaras bandhi
us ke qaul-o-qasam mein bhi ek baat thi jo bhi us ne kaha e'tibar aa gaya
(752) Peoples Rate This