Kya Karen Tadbir-e-wahshat Ai Dil-e-diwana Hum
kya karen tadbir-e-wahshat ai dil-e-diwana hum
us se mil bhi to nahin sakte hain aazadana hum
hum rahen duri kash-e-mai ghair mast-e-arghawan
aaj Takra denge har paimane se paimana hum
DhunDh lega aap manzil karwan-e-zindagi
ghair ka ehsan kyun len himmat-e-mardana hum
lab rahe KHamosh lekin sari baaten ho gain
ek nazar mein kah gae afsana-dar-afsana hum
jis tarah insan ko le Dube hain shaiKH-o-barahman
lao saghar mein Dubo den masjid-o-but-KHana hum
jis ko duniya mein kisi ne munh lagaya hi nahin
mahfil-e-rindan mein hain TuTa hua paimana hum
kash koi dekh hi leta nigah-e-lutf se
aae the mahfil mein 'jami' kitne mushtaqana hum
(607) Peoples Rate This