Jawan Tha Dil Na Tha Andesha-e-sud-o-ziyan Pahle
jawan tha dil na tha andesha-e-sud-o-ziyan pahle
wo the kya mehrban sara jahan tha mehrban pahle
wo mir-e-karwan bhi ik-na-ik din ho ke rahte hain
jinhon ne muddaton chhani hai KHak-e-karwan pahle
KHudi jagi uThe parde ujagar ho gain rahen
nazar kotah thi tarik tha sara jahan pahle
wahi barq-e-tajalli shama hai mere shabistan ki
na la sakti thi jis ki tab shaKH-e-ashiyan pahle
hun ab bhi pa-ba-gil taham bahut parwaz ki main ne
wo ab meri zamin hai tha jo mera aasman pahle
nihan thin dar-ba-dar ki Thokaron mein azmaten 'jami'
na tha is darja aali tera andaz-e-bayan pahle
(686) Peoples Rate This