Jawan Tha Dil Na Tha Andesha-e-sud-o-ziyan Pahle
jawan tha dil na tha andesha-e-sud-o-ziyan pahle
wo the kya mehrban sara jahan tha mehrban pahle
koi manzil ho himmat chahiye sar ho hi jati hai
magar luTte hain raste mein hazaron karwan pahle
wo mir-e-karwan bhi ek na ek din ho ke rahte hain
jinhon ne muddaton chhani hai KHak-e-karwan pahle
KHudi jagi uThe parde ujagar ho gain rahen
nazar kotah thi tarik tha sara jahan pahle
wahi barq-e-tajalli shama hai mere shabistan ki
na la sakti thi jis ki tab shaKH-e-ashiyan pahle
hun ab bhi pa-ba-gil taham bahut parwaz ki main ne
wo ab meri zamin hai tha jo mera aasman pahle
nihan thin dar-ba-dar ki Thokaron mein azmaten 'jami'
na tha is darja aaali tera andaz-e-bayan pahle
(684) Peoples Rate This