Har Tar-e-nafas Khaar Hai Malum Nahin Kyun
har tar-e-nafas KHar hai malum nahin kyun
aasan bhi dushwar hai malum nahin kyun
sau bar marun aur jiyun tab unhen paun
dil is pe bhi tayyar hai malum nahin kyun
sau tarah ke aaram mayassar sahi lekin
dil jine se bezar hai malum nahin kyun
jo lazzati-e-jaur-o-jafa tha usi dil par
ek shoKH-nazar bar hai malum nahin kyun
ek bar mili un se nazar pi nahin koi
phir bahki si raftar hai malum nahin kyun
sau jaan se hum jis pe fida hote hain din-raat
wo darpai-e-azar hai malum nahin kyun
'jami' wo muKHatab hain magar arz-e-tamanna
phir bhi mujhe dushwar hai malum nahin kyun
(688) Peoples Rate This