Ab Apne Des Ki Aab-o-hawa Hum Ko Nahin Bhati
ab apne des ki aab-o-hawa hum ko nahin bhati
ghulami ek zillat thi sarapa dard aazadi
qayaadat karne walon ko masihai ka dawa tha
kisi ne lekin ab tak qaum ki biDi nahin kaTi
abhi tak panw se chimTi hain zanjiren ghulami ki
din aa jata hai aazadi ka aazadi nahin aati
unhin aqwam ke rahm-o-karam par ab bhi jite hain
ghurur-e-hurriyat ne jin se hasil ki thi aazadi
baja-e-fikr-e-nau rajat-pasandi aam shewa hai
haqiqat mein musalman har jagah hai kushta-e-mazi
karachi mein muhajir aur inglistan mein kale
teri taqdir mein 'jami' likhi hai KHana-barbaadi
(953) Peoples Rate This