Aaj Kuchh Kahne Ko Thi ShoKHi-e-tadbir Meri
aaj kuchh kahne ko thi shoKHi-e-tadbir meri
hans paDi pas khaDi thi kahin taqdir meri
TuTte hi se hui dil mein kashakash paida
meri taKHrib mein poshida thi tamir meri
hurriyat zulmat-e-zindan mein janam leti hai
inqilabaat ki tariKH hai zanjir meri
apni jaanib kabhi dekha hi nahin tha warna
wusaten donon jahanon ki hain jagir meri
dosti kaisi rah-o-rasm-e-umumi bhi gai
pyar ki baat kahi aap se taqsir meri
main kahan aap kahan did ki ummid kahan
yaad aaun jo kabhi dekhiye taswir meri
ibrat-amoz hai duniya ka taghayyur 'jami'
mujh se milti nahin do roz ki taswir meri
(718) Peoples Rate This