Ye Jo Meri Lai Aur Lafzon Ke Rangin Tane-bane Hain
ye jo meri lai aur lafzon ke rangin tane-bane hain
sunne walon ghaur na karna sare rag purane hain
sunne walo ghaur na karna warna khul hi jaenge
kitne KHali bhed hamare jo kab se afsane hain
sunne walon ghaur na karna warna pata chal jaega
hum ne jitne bagh sajae wo ab tak virane hain
sunne walo ghaur na karna warna saf samajh loge
hum ne jitne nam liye the aaj bhi sab anjaane hain
sunne walo ghaur na karna warna KHafa ho jaoge
jin ko hum ne dost kaha hai hum un se begane hain
sunne walo ghaur na karna warna hamein Thukra doge
hum andar se saKHt kamine bahar se diwane hain
sunne walo ghaur na karna hum be-sar ho jaenge
jab tak tum sar dhunte rahoge sare git suhane hain
sunne walo ghaur na karna warna hum KHud kah denge
hum ab sher nahin kah sakte ye sab sher bahane hain
(896) Peoples Rate This