Ye Jo BaDhti Hui Judai Hai

ye jo baDhti hui judai hai

shayad aaghaz-e-be-wafai hai

tu na badnam ho usi KHatir

sari duniya se aashnai hai

kis qadar kashmakash ke baad khula

ishq hi ishq se rihai hai

sham-e-gham main to chand hun us ka

mere ghar kya samajh ke aai hai

zaKHm-e-dil be-hijab ho ke ubhar

koi taqrib-e-ru-numai hai

uThta jata hai hauslon ka bharam

ek sahaara shikasta-pai hai

jaan 'ali' nahin paDi aasan

maut ro ro ke muskurai hai

(1516) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Jo BaDhti Hui Judai Hai In English By Famous Poet Jameeluddin Aali. Ye Jo BaDhti Hui Judai Hai is written by Jameeluddin Aali. Read famous Poem Ye Jo BaDhti Hui Judai Hai for youth and Student by Jameeluddin Aali. Free Download Ye Jo BaDhti Hui Judai Hai in PDF.