Ye Ishq Ki Galiyan Jin Mein Hum Kis Kis Aalam Mein Aae Gae
ye ishq ki galiyan jin mein hum kis kis aalam mein aae gae
kahti hain ki hazrat ab kaise tum aaj yahan kyun pae gae
ek shart hai yan KHushbu-e-wafa yaad aae to karna yaad zara
jab tum pe bharosa tha gul ka kya mahke kya mahkae gae
hai ye wahi lauh-e-bab-e-junun likkha hai na puchho kya aur kyun
tum lae kalid-e-jazb-e-darun aur sab manzar dikhlae gae
ek taKHt-e-rawan-e-sher aaya kuchh shah-e-suKHan na farmaya
phir taj-e-tarannum pahnaya aur ghazlon mein tulwae gae
ek tab-e-rasa se kya banta ye un galiyon ka sadqa tha
wo lafz aur wo uslub mile aur wo mani sajwae gae
hairat se Thahar jati thi yahan ye kahti hui har kahkashan
jab yun mil jaana mumkin hai to phir hum kyun phailae gae
duniya ke sahi andaz bahut un galiyon ke bhi hain raaz bahut
jo Thahre wo sar-afraaz hue jo nikle wo Thukrae gae
(860) Peoples Rate This