Tumhein Mujh Mein Kya Nazar Aa Gaya Jo Mera Ye Rup Bana Gae

tumhein mujh mein kya nazar aa gaya jo mera ye rup bana gae

wo tamam log jo ishq the wo mere wajud mein aa gae

na tere siwa koi likh sake na mere siwa koi paDh sake

ye huruf-e-be-waraq-o-sabaq hamein kya zaban sikha gae

na kar aaj hum se ye guftugu mujhe kyun hui teri justuju

are hum bhi ek KHayal the so tere bhi zehn mein aa gae

jo suna ki ghar tere jaenge tere sehan o bagh sajaenge

mere ashk uD ke hawa ke sath unhi baadalon mein sama gae

dil-e-shab mein subh ki dhaDkanen abhi ibtida-e-ghazal mein thin

ki wo aae aur tamam sher meri hi dhun mein suna gae

jo na aap us pe hue ayan ye rakhega hum ko bhi sar-giran

kai bar le ke shikayaten mere dost arz o sama gae

kai mahfilon mein to yun hua ki jab aae 'ali'-e-KHush-ada

jo na khul sake to chhupe rahe jo na ro sake to rula gae

(901) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tumhein Mujh Mein Kya Nazar Aa Gaya Jo Mera Ye Rup Bana Gae In English By Famous Poet Jameeluddin Aali. Tumhein Mujh Mein Kya Nazar Aa Gaya Jo Mera Ye Rup Bana Gae is written by Jameeluddin Aali. Read famous Poem Tumhein Mujh Mein Kya Nazar Aa Gaya Jo Mera Ye Rup Bana Gae for youth and Student by Jameeluddin Aali. Free Download Tumhein Mujh Mein Kya Nazar Aa Gaya Jo Mera Ye Rup Bana Gae in PDF.