Ta-abad Ek Hi Charcha Hoga
ta-abad ek hi charcha hoga
koi hum sa koi tum sa hoga
isi tarik zamin ka manzar
chand par chandni jaisa hoga
suraj aaya hai meri samt magar
dusri samt andhera hoga
kash pahle se koi batla de
kis tarah zikr hamara hoga
aise begana na sunna logo
ye bhi afsana kisi ka hoga
wo nahin aaega is mahfil mein
dur hi dur se sunta hoga
aai be-saKHta har sher pe dad
kitne mani nahin samjha hoga
kaun tha jis ne rakhi tujh se ummid
han to wo shaKHs mujhi sa hoga
kaun tha abr jo ban kar barsa
han to wo tujh ko tarasta hoga
kaun tha jis se hui tai manzil
han to pahle wo bhaTakta hoga
kaun tha jis se ye shoale bhaDke
han to wo KHub sulagta hoga
tum raho chup ki ghazal-KHwan 'ali'
na bura hoga na achchha hoga
(903) Peoples Rate This