Meri Be-hauslagi Is Se Siwa Aur Sahi
meri be-hauslagi is se siwa aur sahi
aur chaho to mohabbat ka sila aur sahi
yun bhi kuchh kam to na the itni bahaaron ke hujum
in mein shamil tere daman ki hawa aur sahi
mujh ko israr kahan hai ki mohabbat jaanun
aaj se mani-o-andaz-o-ada aur sahi
talab-e-dard mein dil had se guzarta kab tha
tum ne puchha tha ki aur is ne kaha aur sahi
ab to har shahar mein us ke hi qaside paDhiye
wo jo pahle hi KHafa hai wo KHafa aur sahi
hum isi rahmat-o-zahmat ke hain aadi yarab
jaisi bhi hai isi duniya ki faza aur sahi
sabaq-e-be-gunahi tishna-e-takmil bhi tha
ek naya falsafa-e-jurm-o-saza aur sahi
aaj aap apne mahasin ka bayan kar lije
mahfil-e-tazkira-e-ahl-e-wafa aur sahi
kya zaruri hai ki andaz-e-bahaaran rakkhe
ab jo kuchh aur hai raftar-e-saba aur sahi
ab bahut shor sahi kal to koi parkhega
in sadaon mein faqiron ki nawa aur sahi
kyun na 'ali' se alai pe ghazal likhwae
ek bedadgar-e-ranj-faza aur sahi
(833) Peoples Rate This