Jis Suraj Ki Aas Lagi Hai Shayad Wo Bhi Aae

jis suraj ki aas lagi hai shayad wo bhi aae

tum ye kaho KHud tum ne ab tak kitne diye jalae

apna kaam hai sirf mohabbat baqi us ka kaam

jab chahe wo ruThe hum se jab chahe man jae

kya kya rog lage hain dil ko kya kya un ke bhed

hum sab ko samjhane wale kaun hamein samjhae

ek isi ummid pe hain sab dushman dost qubul

kya jaane is sada-rawi mein kaun kahan mil jae

duniya wale sab sachche par jina hai is ko bhi

ek gharib akela papi kis kis se sharmae

itna bhi majbur na karna warna hum kah denge

o 'ali' par hansne wale tu aali ban jae

(1112) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jis Suraj Ki Aas Lagi Hai Shayad Wo Bhi Aae In English By Famous Poet Jameeluddin Aali. Jis Suraj Ki Aas Lagi Hai Shayad Wo Bhi Aae is written by Jameeluddin Aali. Read famous Poem Jis Suraj Ki Aas Lagi Hai Shayad Wo Bhi Aae for youth and Student by Jameeluddin Aali. Free Download Jis Suraj Ki Aas Lagi Hai Shayad Wo Bhi Aae in PDF.