Bahut Dinon Se Mujhe Tera Intizar Hai Aa Ja

bahut dinon se mujhe tera intizar hai aa ja

aur ab to KHas wahi mausam-e-bahaar hai aa ja

kahan ye hosh ki uslub-e-taza se tujhe likhun

ki ruh tere liye saKHt be-qarar hai aa ja

guzar chali hain bahut gham ki shorishen bhi hadon se

magar abhi to tera sab pe iKHtiyar hai aa ja

wo teri yaad ki ab tak sukun-e-qalb-e-tapan thi

teri qasam hai ki ab wo bhi nagawar hai aa ja

ghazal ke shikwe ghazal ke muamlat juda hain

meri hi tarah se to bhi wafa-shiar hai aa ja

badal raha ho zamana magar jahan-e-tamanna

tere liye to abad tak bhi sazgar hai aa ja

hazar tarah ke afkar dil ko raund rahe hain

muqable mein tere ranj-e-rozgar hai aa ja

(1786) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bahut Dinon Se Mujhe Tera Intizar Hai Aa Ja In English By Famous Poet Jameeluddin Aali. Bahut Dinon Se Mujhe Tera Intizar Hai Aa Ja is written by Jameeluddin Aali. Read famous Poem Bahut Dinon Se Mujhe Tera Intizar Hai Aa Ja for youth and Student by Jameeluddin Aali. Free Download Bahut Dinon Se Mujhe Tera Intizar Hai Aa Ja in PDF.