Yar Kahta Hai Tajalli-e-laqa Thi Main Na Tha
yar kahta hai tajalli-e-laqa thi main na tha
tur-e-sina par wahi jalwa-numa thi main na tha
gumbad-e-aflak par jis ka hua akasr guzar
wo dil-e-bimar-e-gham ki ek dua thi main na tha
har taraf thi aalam-e-imkan mein jo phaili hui
mere asrar-e-haqiqat ki ziya thi main na tha
misl-e-bu-e-gul tere kuche mein tha jis ka guzar
ai sanam wo meri jaan-e-mubtala thi main na tha
bostan mein talib-e-didar thi jo aap ki
wo gul-e-nargis ki chashm-e-ba-ziya thi main na tha
baad-e-murdan qabr mein mujh ko sula kar ye kaha
dard tha betabiyan thin aur qaza thi main na tha
ek jhalak dikhla ke apni kis ada se kah gaya
jis ko dekha wo bhi shan-e-kibriya thi main na tha
jis ne chuma waqt-e-pamali qudum-e-naz ko
KHun-e-dil ba-shoKHi-e-rang-e-hina thi main na tha
darguzar kar aaine se aap ne moDa hai munh
is mein meri hasrat-e-hairat-faza thi main na tha
zari-o-shewan hamari kab suni hain aap ne
bostan mein bulbul-e-naghma-sara thi main na tha
uD ke jo pahunchi saba ke sath galiyon mein teri
musht-e-KHak-e-kushta-e-tegh-e-ada thi main na tha
dekh kar un ko jo main fart-e-masarrat se mara
wo lage kahne ki ye us ki qaza thi main na tha
tha main taswir-e-KHyali hasti-e-mauhum mein
wo bhi shan-e-ishq-e-shah-e-do-sra thi main na tha
ai 'jamila' bostan-e-ishq mein waqt-e-sahar
nikhat-e-gul si jo pahunchi wo saba thi main na tha
(908) Peoples Rate This