Tumhaare Did Ki Hasrat Bahut Mushkil Se Niklegi
tumhaare did ki hasrat bahut mushkil se niklegi
dua ban kar shab-e-gham wo hamare dil se niklegi
KHabar kya thi ki teri kaj-adai se but-e-raana
bisan-e-shama ro kar aarzu mahfil se niklegi
tamanna rafta rafta rang kuchh dikhlaegi apna
banegi nur-e-jaan aur dida-e-kaamil se niklegi
bisan-e-nikhat-e-gul chhup nahin sakti chhupane se
ye bu-e-KHun-e-ashiq daman-e-qatil se niklegi
nihan kya KHak hogi hasrat-e-didar aashiq ki
wo ek din yas ban kar dida-e-bismil se niklegi
dikhaegi mohabbat ek din un ko asar apna
samai dil mein jo un ke wo mere dil se niklegi
tasawwur jaanib-e-dil chahiye majnun tujhe karna
tu jis laila ka aashiq hai wo is mahmil se niklegi
Thahar ja naqa-e-dilbar ki main chumun qadam tere
sada ye musht-e-KHak-e-ashiq-e-be-dil se niklegi
zaban se nala-o-fariyaad karna hai abas tera
'jamila' wo dua kaam aaegi jo dil se niklegi
(919) Peoples Rate This