Sitam Hai Tere Aashiq Ke Liye Bimar Ho Jaana
sitam hai tere aashiq ke liye bimar ho jaana
baDi aafat hai dal ke hath se na-chaar ho jaana
badal jaana nigahon ka to dekha par nahin dekha
dil-e-ashiq se us ka tir ban kar par ho jaana
nasihat se wo baz aata nahin tum baz aaoge
pahunchna samne naseh ke jab sarshaar ho jaana
kiya hai ashk-e-hasrat tu ne ruswa mujh ko mahfil mein
kaha kis ne ki yun mere gale ka haar ho jaana
akele mein tasawwur KHub karna us sitam-gar ka
lahad mein KHwab-e-ghaflat se agar bedar ho jaana
Dil-e-pur-gham raqib ru-siyah dekhe nahin tujh ko
gali mein us ki ja kar saya-e-diwar ho jaana
nahin furqat gawara tair-e-dil tum ko dilbar ke
pahunchte hi asir-e-gesu-e-KHam-dar ho jaana
KHuda hafiz hai apna dekhiye kaisi guzarti hai
baDi mushkil hai rah-e-ishq ka dushwar ho jaana
qadam-bosi mayassar ho kisi surat se us but ki
'jamila' baad-e-murdan KHak-e-ku-e-yar ho jaana
(836) Peoples Rate This