Pahlu Ko Tere Ishq Mein Viran Nahin Dekha
pahlu ko tere ishq mein viran nahin dekha
is dil ko kabhi KHali-az-arman nahin dekha
surat ko meri dekh ke hairat hai tumhein kya
tum ne to mera haal-e-pareshan nahin dekha
musa hue behosh tajalli-e-laqa se
talib the magar jalwa-e-jaanan nahin dekha
rote hain gunahon pe wahi jin mein hai iman
kafir ko kabhi hum ne pasheman nahin dekha
dekha jo mera dagh-e-jigar hans ke wo bole
aisa to charagh-e-tah-e-daman nahin dekha
ai dard-e-jigar chain zara lene de mujh ko
tujh sa bhi koi jaan ka KHwahan nahin dekha
sar kaT ke gira shauq se qatil ke qadam par
aisa bhi koi banda-e-ehsan nahin dekha
rone pe meri tum ko tahayyur ye abas hai
kya tum ne kabhi abr ko giryan nahin dekha
dekhi hai bahut aap ne aaine ki hairat
aashiq ka magar dida-e-hairan nahin dekha
sar-gashta wo sahra-e-musibat mein na hoga
jis ne teri zulfon ko pareshan nahin dekha
puchha jo 'jamila' se to wo mujh se ye bole
dil sa to koi dusra aiwan nahin dekha
(698) Peoples Rate This