Nash Us Aashiq-e-nashad Ki UThwane Do
nash us aashiq-e-nashad ki uThwane do
ab use zer-e-zamin chain se so jaane do
dil bahal jae to tanhai ki kulfat bhi miTe
shab-e-furqat ki balaon ko to aa jaane do
sainkaDon gauhar-e-nayab to paida honge
chand jhaale meri aankhon se baras jaane do
be kafan phenk hi dena mere lashe ko magar
kucha-e-pak mein mahbub ke mar jaane do
liye baiTha hun bayaban mein pahlu KHali
kya milae hain junun tu ne ye virane do
mai ki hajat na kabhi mujh ko rahi ai saqi
KHun se labrez hain un aankhon ke paimane do
shama-ru jaan bhi hui dil bhi hua tujh pe fida
jal gae ishq ke hathon se ye parwane do
sath mere dil-e-nashad hai tanha main nahin
aae hain dar pe shah-e-din tere diwane do
sath us zulf ke uljhe na hamari qismat
ab ise tum dil-e-sad-chaak se suljhane do
hoga pur-nur siyah-KHana hamare dil ka
is mein tum ghaus-e-KHuda ko zara aa jaane do
rah chuka dair-o-kalisa mein bahut muddat tak
ai junun su-e-haram ab to mujhe jaane do
un ke fiqron mein na aaenge ye sachche aashiq
waiz aae hain jo samjhane to samjhane do
faKHr hai naz hai us par to 'jamila' mujh ko
tum sag-ku-e-jamali mujhe kahlane do
(750) Peoples Rate This