Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_db4476814f28517a21cbee9c3bbcf6f1, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mumkin Nahin Dawa Hai Is Aazar Ke Liye - Jameela Khuda Bakhsh Poetry In English - Darsaal

Mumkin Nahin Dawa Hai Is Aazar Ke Liye

mumkin nahin dawa hai is aazar ke liye

behtar hai maut aashiq-e-bimar ke liye

mar kar hua hun KHak dar-e-yar ke liye

saya bana hun main teri diwar ke liye

dam-e-bala-e-hasti-e-mauhum mein phansa

behtar yahi saza thi gunahgar ke liye

kyunkar raqib aaen na mahfil mein aap ki

hai KHar gul ke waste gul KHar ke liye

pa-bosiyon ke shauq mein apna ye lauh-e-dil

ek KHal ban gaya qadam-e-yar ke liye

jalwa dikha de KHwab mein bahr-e-KHuda mujhe

aankhen taras gain tere didar ke liye

bachchon ki tarah hum ne is aaghosh-e-naz mein

pala tha dil ko tujh se dil-azar ke liye

ab shaiKH-o-barhaman mere daman ke tar ko

aate hain lene subha-o-zunnar ke liye

munis jo ek dil tha wo ghul kar firaq se

aansu bana hai chashm-e-guhar-bar ke liye

us ruKH ko dekhte hi dil-e-zar ne kaha

zeba hai ghaza aisa hi ruKHsar ke liye

kya haal-e-dil sunaun 'jamila' ki zoaf se

quwwat zaban mein chahiye izhaar ke liye

(686) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mumkin Nahin Dawa Hai Is Aazar Ke Liye In English By Famous Poet Jameela Khuda Bakhsh. Mumkin Nahin Dawa Hai Is Aazar Ke Liye is written by Jameela Khuda Bakhsh. Read famous Poem Mumkin Nahin Dawa Hai Is Aazar Ke Liye for youth and Student by Jameela Khuda Bakhsh. Free Download Mumkin Nahin Dawa Hai Is Aazar Ke Liye in PDF.