Ishq-e-butan Ka Jab Se Mujhe Dhang Aa Gaya
ishq-e-butan ka jab se mujhe Dhang aa gaya
hathon se mere dast-e-junun tang aa gaya
kis shauq se ye bazm mein kahta hai dil mera
mutrib ke sath ban ke yahan chang aa gaya
Darna abas hai KHar-e-mughilan se ab mujhe
manzil mein ishq ke kai farsang aa gaya
ji chahta hai phenk dun pahlu se main use
betabiyon se dil ki to main tang aa gaya
manzur shisha-e-dil-e-ashiq hai toDna
jo hath mein liye hue wo sang aa gaya
pamal tum ne gar dil-e-ashiq nahin kiya
talwon mein kyun na KHun ka phir rang aa gaya
kis tarah log ku-e-butan tak chale gae
mere to har qadam pe wahan sang aa gaya
sun kar ghazal ko meri 'jamila' ne ye kaha
is mein to sufiyana bhi kuchh rang aa gaya
(661) Peoples Rate This