Is Dil Ki Imarat Mein Tum Jalwa Dikha Jaana

is dil ki imarat mein tum jalwa dikha jaana

ya nur-e-mubin ban kar aankhon mein sama jaana

apna to shikasta-dil ek KHana-e-viran hai

qadmon se ise apne aabaad bana jaana

ushshaq ke marqad par hasrat yahi kahti hai

tum fitna-e-mahshar ho soton ko jaga jaana

un KHak-nashinon se milna tumhein lazim hai

ushshaq ke kuche mein bhule se tu aa jaana

muddat se piyasa main baiTha hun tere dar par

ek jam mohabbat ka KHud aa ke pila jaana

is gardish-e-qismat ne sar-gashta kiya yan bhi

ai KHizr-e-rah-e-ulfat tum rah bata jaana

aae na sar-e-baalin gar mere dam-e-murdan

ab bahr-e-dua dilbar marqad pe to aa jaana

kya kya na jafa mujh pe hoti hai shab-e-furqat

ulfat ne teri mujh ko paband-e-wafa jaana

ye ishq 'jamila' ka ai KHizr-e-rah-e-ulfat

mahbub ke jalwe ko asrar-e-KHuda jaana

(884) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Dil Ki Imarat Mein Tum Jalwa Dikha Jaana In English By Famous Poet Jameela Khuda Bakhsh. Is Dil Ki Imarat Mein Tum Jalwa Dikha Jaana is written by Jameela Khuda Bakhsh. Read famous Poem Is Dil Ki Imarat Mein Tum Jalwa Dikha Jaana for youth and Student by Jameela Khuda Bakhsh. Free Download Is Dil Ki Imarat Mein Tum Jalwa Dikha Jaana in PDF.