Girne Ka Bahut Dar Hai Ai Dil Na Phisal Jaana
girne ka bahut Dar hai ai dil na phisal jaana
is baam-e-mohabbat par mushkil hai sambhal jaana
dil meri sune kyunkar samjhaun use kya main
wahshat ne sikhaya hai qabu se nikal jaana
wo tere faqiron ko aankhon se zara dekhe
jis ne nahin dekha hai qismat ka badal jaana
dikhlao ruKH-e-zeba ta mujh ko qarar aae
aasan nahin aashiq ka baaton mein bahal jaana
kamzor kiya mujh ko ab zoaf-e-naqahat ne
ai ishq zara mere pahlu ko badal jaana
jalna tumhein is dil ka main aaj dikhaunga
tum ne nahin dekha hai ek parche ka jal jaana
aashiq teri mahfil se uThta hai yahi kah kar
yan majma-e-dushman hai ab chahiye Tal jaana
sar-gashtagi-e-ashiq kya tum ko bataun main
taqdir badalna hai aankhon ka badal jaana
nadan tabibon ko kya nabz dikhaun main
aazar-e-mohabbat ko sauda ka KHalal jaana
wahshat hai fuzun dil ki tanha na chala jae
lazim hai 'jamila' ab sahra ko nikal jaana
(732) Peoples Rate This