Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_304832d8c37945be76bdb0170f1d3476, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Chhup Ke Ghairon Se Dil Mein Aa Jaana - Jameela Khuda Bakhsh Poetry In English - Darsaal

Chhup Ke Ghairon Se Dil Mein Aa Jaana

chhup ke ghairon se dil mein aa jaana

ai sanam ruKH mujhe dikha jaana

bar-sar-e-rah hai meri turbat

hath bahr-e-dua uTha jaana

dil mein rahta hai us ke naqsh-e-sanam

shaiKH ko hum ne parsa jaana

ghair mumkin hai daKHl-e-ghair is mein

dil ko jab KHana-e-KHuda jaana

ai madad-gar jinn-o-insan ke

bigDiyon ko meri bana jaana

is se afzun sitam nahin koi

qatl-e-ashiq ko tum ne kya jaana

kya bataun tujhe 'jamila' main

aafat-e-jaan hai dil ka aa jaana

(818) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chhup Ke Ghairon Se Dil Mein Aa Jaana In English By Famous Poet Jameela Khuda Bakhsh. Chhup Ke Ghairon Se Dil Mein Aa Jaana is written by Jameela Khuda Bakhsh. Read famous Poem Chhup Ke Ghairon Se Dil Mein Aa Jaana for youth and Student by Jameela Khuda Bakhsh. Free Download Chhup Ke Ghairon Se Dil Mein Aa Jaana in PDF.