Jab Hamari Zindagi Ka KHatm Afsana Hua
jab hamari zindagi ka KHatm afsana hua
us ghaDi sad-haif un ka KHair se aana hua
aap to hanste rahe hum ro ke ruswa ho gae
shama to chalti rahi pamal parwana hua
meri barbaadi ke charche sun ke kis kis naz se
puchhte hain muskura kar kaun diwana hua
dahr mein ab muskurane ki hamein fursat nahin
dil hujum-e-gham bana gham aah-e-afsana hua
tu na hota to zamin-o-asman kuchh bhi na tha
tere qadmon ki badaulat mera kashana hua
ai karam-farma tujhe ho ilm us ka ya na ho
kaun tujh mein kho ke aur phir KHud se begana hua
hum hi ek tanha nahin 'tasnim' mastane hue
un ki nazren kya uThin har rind mastana hua
(706) Peoples Rate This