Teri Talab Mein Aise Giraftar Ho Gae
teri talab mein aise giraftar ho gae
hum log KHud bhi raunaq-e-bazar ho gae
kya KHwab tha ki kuchh nahin Thahra nigah mein
kya aks tha ki naqsh-ba-diwar ho gae
hadd-e-nazar bichha tha teri did ka saman
jo raste the sahl wo dushwar ho gae
un ko bhi apne nam ki hurmat aziz thi
jo tera sath dene pe tayyar ho gae
biphra hua badan kisi qatil se kam na tha
hum bhi wufur-e-shauq mein talwar ho gae
go apne pas ek nazar ke siwa na tha
hum har but-e-hasin ke KHaridar ho gae
ye shahr zalzalon ke thapeDon se hil gaya
kya kya ajab mahal the ki mismar ho gae
KHwahish ki uljhanon pe koi bas na chal saka
dawe fusun-e-yar ke be-kar ho gae
(925) Peoples Rate This