Teri Aankhen Tera Husn-e-jawan Tahrir Karte Hain
teri aankhen tera husn-e-jawan tahrir karte hain
zamin ki pastiyon mein aasman tahrir karte hain
koi mausam KHizan se aashna us ko nahin karta
hum apne KHun se jo gulsitan tahrir karte hain
zamane ki koi karwaT use sanwla nahin sakti
hum apni aanch se jo kahkashan tahrir karte hain
koi diwar us ka rasta kya rok sakti hai
hawa ki lauh par apna bayan tahrir karte hain
guzarte waqt ko aab-e-rawan ka nam dete hain
faraghat ko nashat-e-be-karan tahrir karte hain
KHayal-o-KHwab ko alfaz mein Dhaala nahin jata
jo karna chahte hain wo kahan tahrir karte hain
zamane ko wo apni dastan malum hoti hai
haqiqat mein hum apni dastan tahrir karte hain
(912) Peoples Rate This