Tamannaon Ki Duniya Mein Qadam Dharne Nahin Deti
tamannaon ki duniya mein qadam dharne nahin deti
jo karna chahta hun zindagi karne nahin deti
koi surat nahin hai zindagi se bach nikalne ki
gham-o-alam ke maron ko bhi marne nahin deti
andhera lakh ho mujh ko sahar ki aas rahti hai
yahi wo raushni hai jo mujhe Darne nahin deti
koi mausam ho un zulfon ki KHushbu le hi aati hai
hawa-e-shauq dil ke zaKHm ko bharne nahin deti
KHuda ne mere andar kya KHabar kya chiz rakh di hai
jo samjhauta mujhe haalat se karne nahin deti
mujhe malum hai wada nibhana saKHt mushkil hai
meri kam-himmati inkar bhi karne nahin deti
guzarti rau badalti ja rahi hai ek ek shai ko
kisi shai se mujhe ulfat ka dam bharne nahin deti
(784) Peoples Rate This