Talluqat Ke ZaKHmon Ka Hun Sataya Hua
talluqat ke zaKHmon ka hun sataya hua
jo sham aai mera saya bhi paraya hua
miTega zehan se kab teri yaad ka afsun
hazar sadiyon se ye bojh hai uThaya hua
wo ek shaKHs abhi dil mein chhup ke baiTha hai
wo shaKHs jo kabhi apna kabhi paraya hua
har ek lamhe ki aahaT pe dil larazta hai
zamane bhar ko ho jaise gale lagaya hua
nai ruton ki hua ne ajib sazish ki
ki mauj-e-KHun mein hai har barg-e-gul nahaya hua
kisi ke sans ki aawaz tak nahin aati
sukut-e-marg ne pahra hai wo biThaya hua
har ek nazar mein koi ajnabi si aahaT hai
har ek dil mein koi KHauf hai samaya hua
wo tirgi hai ki aankhon mein ek kiran bhi nahin
wo KHamushi hai ki lamhon ne zahar khaya hua
main apne waqt ke zindan ka ek qaidi hun
nazar nazar hai fasilon ne sar uThaya hua
gurez-pa hai wo umr-e-aziz ki manind
hai ek umr se apna jise banaya hua
na koi yar na hamdam na koi hamrahi
tumhaari zulf ka saya to KHair saya hua
(845) Peoples Rate This