Phir Ruk Nahin Saka Hun Kisi Bhi ChaTan Se
phir ruk nahin saka hun kisi bhi chaTan se
aisa gira hun roz-e-azal aasman se
hai jabr mein bhi ek guman iKHtiyar ka
do chaar har qadam pe hon ek imtihan se
ab main hun aur hawaon ki sazish ka samna
ek tir hun chala hun qaza ki kaman se
ek aaina ki jis mein kahin baal paD gaya
ek silsila ki TuT gaya darmiyan se
gum-sum khaDe hain ab dar-o-diwar aur main
wo log kab ke ja bhi chuke hain makan se
KHushiyan jo mujh ko mil na sakin is jahan mein
mujh ko bula rahi hain nae ek jahan se
is baat ka 'jamil' mujhe kuchh pata nahin
iqrar kar raha hun main jis ka zaban se
(1237) Peoples Rate This