KHud Apni Zat Ka Nam-o-nishan Bhul Gae
KHud apni zat ka nam-o-nishan bhul gae
riha hue to parinde uDan bhul gae
is inhimak se kar-e-zamin mein mahw hue
zamin pe chhaya hua aasman bhul gae
har imtihan mein pahla sabaq to yaad aaya
kitab-e-ishq kahin darmiyan bhul gae
na Thaharna hi munasib na uTh ke jaana hi
bala ke ghar mein hamein mezban bhul gae
us ajnabi ki rifaqat mein aisi KHushbu thi
hum apne sare safar ki thakan bhul gae
na kar numud ki KHwahish ki ye jahan wale
baDe-baDon ka bhi nam-o-nishan bhul gae
kuchh is tarah gham-e-umr-e-rawan ne KHak kiya
firaq-o-wasl ki sab dastan bhul gae
(1879) Peoples Rate This