Kaun Hai Kis Ka Giraftar Na Samjha Jae
kaun hai kis ka giraftar na samjha jae
yahi behtar hai ye asrar na samjha jae
main ne kab duniya mein aane ki tamanna ki thi
mujh ko duniya ka talabgar na samjha jae
sari duniya ko badalna koi aasan nahin
kisi diwane ko be-kar na samjha jae
us ko baatin se sarokar hai zahir se nahin
din ko raunaq-e-bazar na samjha jae
ek yahi baat to hai is mein samajhne wali
mujhe kafir use din-dar na samjha jae
teri duniya mein tere husn ka shaidai hun
ai KHuda mujh ko gunahgar na samjha jae
nau-e-insan ki baDai ka taqaza hai yahi
rang aur nasl ko mear na samjha jae
(893) Peoples Rate This