Ek-tarfa Be-KHudi Mein Gum Hua Rahta Hun Main
ek-tarfa be-KHudi mein gum hua rahta hun main
be-mahaba faslon ko napta rahta hun main
mere KHad-o-KHal ko pahchanna aasan nahin
raste ki gard mein akasr aTa rahta hun main
jaanta hun DhunDhta hun ek sarab-e-nur ko
phir bhi us ki khoj mein paiham laga rahta hun main
karwan-e-shauq jis ko zindagi kahte ho tum
is tag-o-dau ke jilau mein hi sada rahta hun main
hazrat-e-waiz tujhe mera pata kyunkar mile
jism ke kabe mein manind-e-KHuda rahta hun main
(860) Peoples Rate This