Pura Chand Nikalta Hai To BheDiya Aksar Rota Hai
pura chand nikalta hai to bheDiya aksar rota hai
raat ko kutta bhaun bhaun karta din ko ullu sota hai
sher ki KHala billi us ko kya kya sabaq paDhati hai
khamba nochne lagti hai bechaari jab KHisyati hai
bhains ke kan se kala kawwa juen chugta jata hai
boli bhains ki ai kawwe kyun mere kan tu khata hai
unT ki kal sidhi karne ko aae the kutte raja
bola unT ki pahle tu apni dum sidhi kar ja ja
jugnu ki dum se chamgadaD lene thoDi aag gaya
gidaD ki bhabhki se Dar kar baghaD billa bhag gaya
chamgadaD ki biwi darwaze se ulTi laTak gai
pura hathi nikla lekin dum hathi ki aTak gai
bandar banT raha tha phaliyan bola gidh ho ke barham
ye achchhi taqsim hai teri KHud le ziyaada hum ko kam
hathi ke danton ko chuhe ne dekha to ye bola
ye to dant dikhane ke hain khane wale dant dikha
buDDha tota paDhne ki dhun mein ek din school gaya
kawwa hans ki chaal chala to apni chaal hi bhul gaya
sanp ke badle bhains ke aage chuhiya bin bajaegi
ab ke id pe buDhi ghoDi lal lagam lagaegi
mor kise jangal mein ja kar apna nach dikhata hai
gidaD ki shamat aae to shahr ki jaanib jata hai
dumba zarrafe ki gardan napne ko tayyar hua
murghabi ke anDe kha kar sanp bahut bimar hua
ban-manus ki nak pe makkhi baiThi lekin phisal gai
bhaalu ko aata dekha to shahd ki makkhi sambhal gai
aadha titar khaya lekin bhuka rah gaya babbar sher
sherni us ke waste le kar aai aadha aur baTer
ullu ko har shaKH pe baiTha dekh ke TaTTu KHwar hua
meinDak ki Tar-Tar se dariyai ghoDa bezar hua
allah-ji ki gae paDosan ke ghar khane phali gai
pure nau sau chuhe kha kar billi haj ko chali gai
(1423) Peoples Rate This