Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_57876a8f559c22eb429eea978cf7c1b0, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ye Zindagi Azab Agar Ho To Kya Karen - Jameel Usman Poetry In English - Darsaal

Ye Zindagi Azab Agar Ho To Kya Karen

ye zindagi azab agar ho to kya karen

ek talKH si sharab agar ho to kya karen

tum se hamare qalb o nazar ka muamla

ek wajh-e-iztirab agar ho to kya karen

sidq-o-safa ki aarzu ab kya kare koi

band aagahi ka bab agar ho to kya karen

fitrat mein jis ki roz-e-azal se hijab hai

wo husn be-hijab agar ho to kya karen

ruKH ko tumhaare chand se tashbih de to den

gahnaya mahtab agar ho to kya karen

hum raaz-e-dil chhupate magar apni zindagi

puri khuli kitab agar ho to kya karen

kar li hai tauba hum ne magar duKHtar-e-enab

masjid mein dastiyab agar ho to kya karen

(803) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Zindagi Azab Agar Ho To Kya Karen In English By Famous Poet Jameel Usman. Ye Zindagi Azab Agar Ho To Kya Karen is written by Jameel Usman. Read famous Poem Ye Zindagi Azab Agar Ho To Kya Karen for youth and Student by Jameel Usman. Free Download Ye Zindagi Azab Agar Ho To Kya Karen in PDF.