Jab Se Mere Bagh Mein Angur Ke Dane Lage
jab se mere bagh mein angur ke dane lage
mujh ko duniya mein hi jannat ke maze aane lage
mai-kashon ne hi nahin DhunDa mere ghar ka pata
shaiKH sahab bhi mujhe ab yaad farmane lage
ek surur-o-kaif ka aalam hai tari bin piye
pyale sade pani ke bhi mai ke paimane lage
jagmaga uTThe hain atraf-o-jawanib mein diye
sham-e-mahfil ki pazirai mein parwane lage
mah-ruKHon ki bazm mein shirkat nazar aane lagi
aur tasawwur mein dhanak ke rang lahrane lage
taeron ki chahchahahaT se hua yun dil gudaz
mere ham-mashrab mujhe naghmon pe uksane lage
hum pe ek mashur-kun si kaifiyat tari hui
aur hum is kaifiyat mein jhum kar gane lage
is tilism-e-rang-o-bu ke sehr se nikle hain jab
hum ko aksar din mein bhi tare nazar aane lage
(985) Peoples Rate This