Nuqush-e-mazi
nazar mein shaer ke phir raha hai, hara-bhara pur-bahaar jangal
wo subh-e-rangin, wo kaif-e-manzar, wo daman-e-koh bindhiya-chal
mili thi ek rang-o-bu ki duniya, tamam sahra chaman chaman tha
magar wo jannat-nigah wadi bahaar ka mustaqil watan tha
khaDa hua tha gharib shaer, KHamosh sahra-e-rang-o-bu mein
machal rahi thi sahar ki doshiza shab ke aaghosh-e-arzu mein
hon chashm-e-ashiq mein jaise aansu, sitare yun jhilmila rahe the
falak pe barham thi bazm-e-anjum, charagh gul hote ja rahe the
tajalliyon ki falak se barish thi, zulmat-e-shab bikhar rahi thi
ki subh ki sanwli hasina naha rahi thi, nikhar rahi thi
nadi mein halka sa tha tamawwuj kahen jise be-qarar ghaflat
ki nind mein jaise karwaTen le, jawan, bad-mast-e-KHwab aurat
hawa jo shana hila rahi thi, to maujen hushiyar ho rahi thin
tuyur ke mast zamzamon se fazaen bedar ho rahi thin
ye kaifiyat thi aur ek jogan sitar baiThi baja rahi thi
magar wo jangal ki shahzadi bahaar ke git ga rahi thi
bahaar ke git ga rahi thi faza mein naghme bikherti thi
sukut fitrat ka dad deta tha ruKH jidhar ko wo pherti thi
wo nind se muzmahil nigahen wo lab pe maghmum muskurahaT
hazar andaz-e-dil-rubai aur ek masum muskurahaT
thin nind se rasmasai aankhen aur in mein shoKHi machal rahi thi
KHumar-aluda ankhDiyon mein bahaar ki ruh pal rahi thi
qamar ki talat, shafaq ki surKHi, jabin pe subh-e-bahaar KHandan
nigah aaina-dar-e-manzar, jamal parwarda-e-byaban
sitar pe nazuk ungliyan thin, kalai gori lachak rahi thi
umangen leti thin dil mein karwaT, rag-e-jawani phaDak rahi thi
sunahre jalwon ki chhuT Dali jo shah-e-KHawar ke taj-e-zar ne
talai afshan chuni jabin par malih doshiza-e-sahar ne
talai zewar se aur chamki urus-e-manzar ki dilrubai
uTha jo suraj to dhup nikli hasina-e-subh khilkilai
faza ki tabdiliyon ko dekha jo bazm-e-fitrat ki mutriba ne
sitar rakkha, uThai gagri, nadi kinare chali nahane
wo ja rahi thi nadi ki jaanib main lauT kar ghar ko aa raha tha
sitar KHamosh ho chuka tha magar ye dil gunguna raha tha
zamana guzra nuqush-e-mazi KHayal se miTte ja rahe hain
magar wo naghme 'jamil' ab tak dimagh ko gudguda rahe hain
(1238) Peoples Rate This