Mariz-e-mohabbat
apne pindar-e-KHudi se munfail hun 'mazhari'
main zuhur-e-iKHtilal-e-ab-o-gil hun 'mazhari'
ki mohabbat ka mariz-e-mustaqil hun 'mazhari'
dosti kya dushmani se bhi mohabbat main ne ki
raushni kya tirgi se bhi mohabbat main ne ki
muskurai tirgi mujh ko mohabbat ho gai
hans ke boli dushmani mujh ko mohabbat ho gai
muflisi o be-nawai se mohabbat main ne ki
har surur-e-KHud-numai se mohabbat main ne ki
har ghurur-e-kibriyai se mohabbat main ne ki
be-ruKHi o kaj-adai se mohabbat main ne ki
tar-zaban ho kar rukhai se mohabbat main ne ki
tha rajai kis qadar meri mohabbat ka dimagh
ahrman ke sina-e-tarik mein dekha charagh
ek sitaristan nazar aaya andhera dagh dagh
main ne makkari o ayyari mein bhi dekha KHulus
main sayyaadi o jalladi se bhi barta KHulus
main ne qahhaari o jabbari mein bhi DhunDa KHulus
apne is jazbe ko ek tashdid-e-imani bhi di
doston ke waste iman ki qurbani bhi di
taki puri ho mohabbat ki ek ummid-e-fuzul
bar-ha jhonka kiya insaf ki aankhon mein dhul
phir bhi sab kuchh kho ke sab kuchh de ke kuchh paya nahin
aql kaam aai nahin aur ishq ras aaya nahin
jis ko kahte hain wafa ek saKHt bimari hai ye
KHud-kushi ho ya na ho lekin KHud-azari hai ye
naz-bardari mein bhi ek bar-bardari hai ye
main mohabbat ki hawas mein itna be-KHud ho gaya
mere andar madda nafrat ka bilkul so gaya
ai azizo! is mariz-e-zindagi ka kya ilaj
is KHudi ka kya ilaj is be-KHudi ka kya ilaj
jis ko ho naz-e-wafa us aadmi ka kya ilaj
'ijtiba' se puchhte ho 'mazhari' ka kya ilaj
sau KHulus-e-be-riya ka ek KHabasat se ilaj
ye maraz hai, ye maraz hai is ka nafrat hai ilaj
bas yahi raaz-e-shifa hai, bas yahi raaz-e-shifa
bas yahi meri dawa hai bas yahi meri dawa
koi meri ruh par aisa kare zulm-e-shadid
mujh mein nafrat ji uThe salawat bar-ruh-e-yazid
(1093) Peoples Rate This