Jaen Kahan Hum
tabiat jo andar se jhunjhla rahi hai
to bahar se aawaz ye aa rahi hai
ki ai fazil-e-dars-gah-e-himaqat
hijabaat-e-danish uTha kar bhi dekho
sharafat ke pichhe jigar ho gaya KHun
sharafat se pichha chhuDa kar bhi dekho
azal se mohabbat KHudi ka hai zindan
ab is se zara bahar aa kar bhi dekho
murawwat ne pahnai hain beDiyan jo
zara un ka loha ghula kar bhi dekho
tasawwur ki wadi mein bhaTkoge kab tak
kabhi shahr-e-imkan mein ja kar bhi dekho
gharaz 'mazhari' is dayar-e-junun mein
mila, kuchh na khone se pa kar bhi dekho
suna mashwara tera ai saut-e-ghaibi
zalalat ki sarhad mein aa kar bhi dekha
rizalat ki gardan mein banhen bhi Dalin
sharafat se pichha chhuDa kar bhi dekha
hamiyyat ka ghonTa gala rafta rafta
mohabbat ko phansi chaDha kar bhi dekha
kaf-e-mor se us ka luqma bhi chhina
haq-e-ahl-e-KHidmat chura kar bhi dekha
shuur o KHirad ko ghurur o hasad ko
sula kar bhi dekha jaga kar bhi
phire ku-ba-ku aql ki rahbari mein
gharaz ye ki kho kar bhi, pa kar bhi dekha
na khone se hasil, na pane se hasil
jise sud kahte hain wo bhi ziyan hai
yahi bas ki taqdir-e-aql o junun hai
yahi KHisht-e-tamir-e-kaun-o-makan hai
mohabbat jahannam hai, nafrat jahannam
jidhar jaen ek aag shola-fishan hai
dayar-e-wafa ya dayar-e-hawas ho
na rahat yahan hai na rahat wahan hai
sharafat bhi gham-gin rizalat bhi gham-gin
bas ab munh na khulwa KHuda darmiyan hai
samak se sama tak tapish hi tapish hai
faza se KHala tak fughan hi fughan hai
KHudi panw pakDe hai jaen kahan hum
tasawwur ki jannat banaen kahan hum
(1054) Peoples Rate This