Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_cbbc6206b05939604697de92aeacc43b, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Yahan Jo Bhi Tha Tanha Tha Yahan Jo Bhi Hai Tanha Hai - Jameel Mazhari Poetry In English - Darsaal

Yahan Jo Bhi Tha Tanha Tha Yahan Jo Bhi Hai Tanha Hai

yahan jo bhi tha tanha tha yahan jo bhi hai tanha hai

ye duniya hai ye duniya hai isi ka nam duniya hai

na bola un se jata hai na dekha un se jata hai

yahan gungon ki basti hai yahan andhon ka pahra hai

wo manzil thi tahayyur ki ye manzil hai tafakkur ki

wahan parda bhi jalwa tha yahan jalwa bhi parda hai

wo aalam tha tayyun ka wahan parda hi parda tha

ye aalam hai tayaqqun ka yahan jalwa hi jalwa hai

sabhi majruh hain is said-gah-e-aish-o-hirman mein

kisi ka zaKHm ochha hai kisi ka zaKHm gahra hai

jo wo ek KHush-KHayali thi to ye ek kam-nigahi hai

na wo phulon ka gulshan tha na ye kanTon ka sahra hai

wo ahl-e-qal ki majlis ye ahl-e-haal ki majlis

wahan jo kuchh tha mazi tha yahan jo kuchh hai farda hai

ye naddi to nahin jo aab-e-shirin de sake tum ko

hai pani utna hi namkin samundar jitna gahra hai

yahan tarshe hue lafzon ka sikka chal nahin sakta

ye bazar-e-maani hai yahan moti bhi qatra hai

'jamil' aankhon ke paT kholo ise bhi ek nazar tolo

wo nairang-e-tasawwur tha ye nairang-e-tamasha hai

(958) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yahan Jo Bhi Tha Tanha Tha Yahan Jo Bhi Hai Tanha Hai In English By Famous Poet Jameel Mazhari. Yahan Jo Bhi Tha Tanha Tha Yahan Jo Bhi Hai Tanha Hai is written by Jameel Mazhari. Read famous Poem Yahan Jo Bhi Tha Tanha Tha Yahan Jo Bhi Hai Tanha Hai for youth and Student by Jameel Mazhari. Free Download Yahan Jo Bhi Tha Tanha Tha Yahan Jo Bhi Hai Tanha Hai in PDF.