Tu Ne Sine Ko Jab Tak KHalish Di Na Thi Tu Ne Jazbon Ko Jab Tak Ubhaara Na Tha
tu ne sine ko jab tak KHalish di na thi tu ne jazbon ko jab tak ubhaara na tha
main wo dariya tha jis mein ki lahren na thin main wo qulzum tha jis mein ki dhaara na tha
tere aage na yaran-e-KHud-sar jhuke teri chaukhaT se bhage to dar dar jhuke
us jagah dil jhuke us jagah sar jhuke bandagi ke siwa koi chaara na tha
ashk moti na the bah gae bah gae hanste hanste ye tum aaj kya kah gae
yaad kar ke wo din hum bhi chup rah gae jab in aankhon mein aansu gawara na tha
saz fariyaad ke dil ne chheDe na the hijr aur wasl ke ye bakheDe na the
hum ne daman ke baKHiye udheDe na the tum ne zulfon ko apni sanwara na tha
tujh mein dariya koi kis sahaare chale main jo pachchhim to purab ko dhaare chale
meri kashti kinare kinare chale teri maujon ko ye bhi gawara na tha
dekh parwanon ke raqs-e-betab ko shama aane na de aankh mein KHwab ko
ek jhapki si aai thi mahtab ko aankh kholi to koi sitara na tha
ek tannur se shoale uTTha kiye aag jalti rahi log tapa kiye
dur baiThe wo pahlu bachaya kiye jin ki qismat mein koi sharara na tha
donon afsana-KHwan gird mahmil ke the qais sahra ka tha KHizr manzil ke the
'mazhari' bhi ghulam apne hi dil ke the in diwanon mein koi tumhaara na tha
(977) Peoples Rate This