Tera Husn Bhi Bahana Mera Ishq Bhi Bahana
tera husn bhi bahana mera ishq bhi bahana
ye latif istiare na samajh saka zamana
main nisar-e-dast-e-nazuk jo uThae nazishana
ki sanwar gain ye zulfen to sanwar gaya zamana
teri zindagi tabassum meri zindagi talatum
meri zindagi haqiqat teri zindagi fasana
teri zulf-e-KHam-ba-KHam ne nae silsile nikale
meri sina-chaakiyon se jo bana mizaj-e-shana
tera naz-e-kibriyai bhi maqam-e-ghaur mein hai
ki ghaTa diya hai sajdon ne waqar-e-astana
main darun-e-KHana aa kar bhi liye hun dagh-e-sajda
hai abhi meri jabin par asar-e-barun-e-KHana
kabhi rah main ne badli to zamin ka raqs badla
kabhi sans li Thahar kar to Thahar gaya zamana
(1113) Peoples Rate This