Subh KHud Bataegi Tirgi Kahan Jae
subh KHud bataegi tirgi kahan jae
ye charagh ki jhuTi raushni kahan jae
jo nasheb aaega rasta dikhaega
moD KHud bataega aadmi kahan jae
baDh ke do qadam tu hi us ki piTh halki kar
ye thaka musafir ai rahzani kahan jae
ha-o-hu ki duniya mein ma-o-tu ki duniya mein
rang o bu ki duniya mein sadgi kahan jae
be-talluqi maslak ho chuka hai duniya ka
dosti kahan jae dushmani kahan jae
ab to dhup aa pahunchi jhaDiyon ke andar bhi
ab panah lene ko tirgi kahan jae
karwan ne chulhon mein jhonk di ghani shaKHen
ab kahin nahin saya KHastagi kahan jae
zaKHm-e-dil to kya doge dagh-e-sajda hi de do
ab tumhaari chaukhaT se 'mazhari' kahan jae
(908) Peoples Rate This