Muddat Se Hai Libas-e-badan Tar Tar Dost
muddat se hai libas-e-badan tar tar dost
maila bhi hai utar ab is ko utar dost
baKHiye ki ab jagah hai na paiwand ki jagah
kya si rahe hain is ko tere gham-gusar dost
tha jis mein zindagi ka guman wo to ja chuki
ye zindagi hai us ke qadam ka ghubar dost
jo zindagi thi laghzish-e-paiham ka silsila
hai jumbish-e-KHafif use nagawar dost
aage jo ja chuka hai wo har lamha-e-hayat
tujh ko pukarta hai sun us ki pukar dost
haalat ne jo lad diya teri piTh par
gardan jhaTak ke phenk de jaldi wo bar dost
thi zindagi KHuda ka ghazab aur 'mazhari'
maut ek KHuda ka pyar hai le us ka pyar dost
(1532) Peoples Rate This